How to Keep Your Phone Cool in Summer? (Without Any App!)
Posted by Tech Biryanii | April 2025Garmi ka season aate hi smartphone users ek common dikkat face karte hain — phone ka overheat hona. Extreme heat se battery life kam ho sakti hai, aur performance bhi slow ho jata hai. Lekin tension mat lo! Yahaan hum share kar rahe hain 10 asaan aur effective tips jo aapke phone ko thanda aur safe rakhenge — bina kisi third-party app ke!
Agar aap top 5 useful apps dhoondh rahe ho ya personal VPN Android par kaise setup karein, toh woh bhi check kar sakte ho!
1. Avoid Direct Sunlight
Phone ko kabhi bhi direct sunlight mein mat rakho — dhoop mein heat zyada hoti hai jo phone ke processor aur battery dono ko damage kar sakti hai.
2. Turn Off Unused Features
Bluetooth, GPS, WiFi aur Hotspot ko tabhi on rakho jab zarurat ho. Inka continuous use background heat generate karta hai.
3. Reduce Brightness & Use Dark Mode
High brightness se screen garam hoti hai. Dark Mode aur Auto Brightness ka use karo to heat kam ho jata hai.
4. Don’t Use Phone While Charging
Charging ke time par phone use karna avoid karo. Gaming aur streaming se heat aur badhta hai. Best option hai — phone ko aeroplane mode par daal do.
5. Remove Back Cover While Charging
Back cover se heat bahar nahi nikal pati. Charge karte waqt cover hata do aur phone ko kisi thandi surface par rakho.
6. Close Background Apps
Background mein multiple apps chal rahe ho toh processor pe load badhta hai. Regularly apps ko clear karte raho.
7. Enable Battery Saver Mode
Battery saver mode CPU usage kam karta hai, jis se phone zyada garam nahi hota.
8. Avoid Fast Charging in Heat
Extreme heat mein fast charging aur zyada garam karti hai phone ko. Normal charging ka use karo when possible.
9. Keep Software Updated
Latest software updates mein thermal optimizations hoti hain jo overheating reduce karte hain.
10. Use Cooling Accessories (Optional)
Gaming ke shaukeen users phone cooler ya fan attachments ka use kar sakte hain for better performance.
Conclusion
Summer mein phone ka overheat hona normal hai lekin agar aap ye 10 tips follow karte ho to aapka phone cool, fast, aur safe rahega. Heat sirf performance ko nahi, balki device ki life ko bhi effect karta hai. So, be smart and stay cool!
Read More Tech Tips:
- How to Convert Any Website to Android App
- Upcoming iPhone 17 Series – Full Leak!

0 Comments